Wednesday, 13 July 2011

Soch aur hakikat k beech…..ye dooriyan

Door se dekha,
Kisi ke sath ja raha tha vo.
Awaaz aa rahi thi jaise,
Gunguna raha tha vo.
Masti me chalta aise,
Itraa raha tha vo.
Nazdeek pahunche to,
Tasweer hi badal gayi.
Na chahte huye bhee,
Aankhe machal gayi.
Akela hi tha vo us din,
Ladkhada raha tha vo.
Vo ro raha tha us din,
Ghabra raha tha vo.
Dooor se na pahchaana,
Vo kaun shakhs tha,
Kohra ghana tha us din,
Vo hamara hi aks tha.

Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye


Jo bani ho Mere lye
Jis ke lye mai Jee raha hoon
Jo kahe Hum saath hain Tere
Jise dekhne k liye Tarap raha hoon
Ek aisa hi Dildaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye
Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye
Ho har Waqt rahe saath mai Mere
Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye
Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Jis ki ek Hansi k liye
Mar jane ko Dil kare
Jo kehde ek baar to
Phir Jeene ko Dil kare
Aisa hi Ek Humsafar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Ek baar mili thi Mujhe woh
Par pata nahi kaha kho gayi
Ab agar mil jaye toh
use kahi jane na doon
Wohi khoya Yaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye

Tuesday, 12 July 2011

Har Baar Ek Naya Chehra Laga Liya......

kuch is tarh se maine jivan saja liya
kuch is tarh se maine jivan saja liya
har baar ek naya chehra laga liya
tagdir ki lakire haantho mein ruk gae
kadmo ki aahato se manjil thehar gayi
apno ki aarzoo ko har pal mita diya
har baar ek naya chehra laga liya
kuch is tarh se maine jivan saja liya
har baar ek naya chehra laga liya
tagdir ki lakire haantho mein ruk gae
kadmo ki aahato se manjil thehar gayi
apno ki aarzoo ko har pal mita diya
har baar ek naya chehra laga liya
apno ka na kabhi gairo ka ban saka
saanso ki aarzoo ka hissa na ban saka
mere wajood ko sabne bhula diya
har baar ek naya chehra laga diya
gumnaam jindagi anjaan raaste pe chalte hai saath saath
sadiyo ki aarzoo ne jeene ki aarzoo ne mukhbir bana diya
har baar ek naya chehra laga liya......

Tuesday, 7 June 2011

palko se pal chun lo na aankhon mein pal boon lo na

palko se pal chun lo na
aankhon mein pal boon lo na
saanson ko dhadkan mein rakhna
soane se pehle jaagna
jindage ko gale se lagana
katra katra ye pal gun gunao
palko se pal chun lo na
aankhon mein pal boon lo na
khulne laga aasmaan
aaj baadal bhi dhalne laga
chehra jo badla mera dekhk main toh hansne laga
dil ko aawaj de reshami saaj de
rafta rafta ye pal ji jara
palko se pal chun lo na
aankhon mein pal boon lo na
kal raat aisa hua chand bhi paas aane laga
khusbu ne mujhko chua
sab phulo ka shehra mila
ab nai raat hai har nai baat hai
ab nai raat hai har nai baat hai
ab toh har pal mein jeene laga
palko se pal chun lo na
aankhon mein pal boon lo na

Thursday, 28 April 2011

WOH HAQIQAT HAI KOI KHWAB NAHI

Sab ne kaha tum me pahle jaisi baat nahi?
Maine kaha zindagi me uska saath nahi...
Sab ne kaha ab bhi kisi ki aankhon me doob sakte ho?
Maine kaha ab kisi or ki aankhon me wo baat nahi...
Sab ne kaha kyun itna toot kar chahte ho usse?
Maine kaha insaan hu patthar nahi...
Sabne kaha kya bewafa hai woh?
Maine kaha mujhe ab wafa ki talaash nahi...
Sabne kaha bhul jaa usse ab?
Maine kaha "WOH HAQIQAT HAI KOI KHWAB NAHI
"

Akal Aa Gaye Chand Ko

suraj ke chipate he chanda
aasmaan mein aaya
mere jaisa kaun hai jug mein
voh hanskar ith laaya

taare sabhi humare chamache
main inka hun raaja
shihansan par biatha maze mein
bajwaata hun baaza

chidha ek baadal jab usne
dekha yeh abhimaan chanda ko
sabak sikikhane ki
li mun mein oosne than

ghair liya shashi ko oosne
rang birange baadal k saath
akal aagae chanda ko
bola kar do mujhe maanf